Shiar
Dec 20, 2003
CHALAIN HUM FARZ KARTAIN HAIN...... Yeh kaisa khail hai taqdeer kii be naam baazi ka ; kay jo haray hain , so haray hain ; magar jo jeet jatay hain ; inhain bhi ik uljhan ki daldal ghair laitii hai ; kay ikk mushkil kay baad ikk aur mushkil ghair leti hai ; samajhnain keliye aayen ; chalain hum farz kartay hain ! ; " Kissi lamhay kissi ikk shakhs ko paana hamarii zindagi say bhi zyada besh qeemat tha ; bass uski aarzoo main saari duniya bhool bethay thay ; bass uska naam letay thay , ussi ko yaad kartay thay ; ussi ki dhun main jeetay thay ussi kay gham main martay thay ; tau phir kuch youn hua ikk roz usko paalia hum nain , ussay rangon ki dolii main bitha kar ghar main lay aaye ; tassuwur ki har ik khushboo gul-e-manzar main le aaye " Kahanii aagay chalti haii !" Tau hota istarah hai - zindagi kay karkhanain main ; dinon kay aanain jaanain main ; jahan kay an ginat kaamon ka chakkar chalnain lagta hai ; aankhain dair tak bedaar rehnain say sulagti hain ; zaban ikk tajirana aur musalsal jhoot ; ki takraar say uktanay lagtii hai ; magar majboor hoti hai ; kay duniya ka dabao usko ruknain hi nahin deta ; koi bekaar sa qissa woh phir duhranain lagti hai ; thakan aur neend ki milti hadon main , sard bistar par ; saher say raat tak kii be nateeja guftugooo ; yaad anain lagti hai ; tau us lamhay ; woh umron ki riazat ka samar , woh gohar-e-yukta ; ussi shiknon bharay bistar kay ikk hissay main hota hai ; magar mahsoos hota hai ; kay jaisay woh hazaron meel kii doori pay rehta hai ; issi dooriii kay sahra main kayee ratain bikhartii hain ; din fout hotay hain ; tau phir ikk din ; kissi be naam say ahsaas kii aahat ; hamaray hast ki khali gali main gonjtii hai ; aur humain bedaar karti hai , batati hai ; kay hum jis ghar main rehtay hain ; wahan kuch khoobsoorat khuwaab bhii aabad hotay thay "Chalain Hum Farz Kartay Hain ; Yeh Sab Kuch Ikk Kahanii Hai ; Magar Kitni Poorani Hai !!!~~~By AMJAD ISLAM AMJAD~~~